Facebook Account Delete or Deactivate Kaise karte Hai
Facebook ek aesi site hai jispar abhi ke time me agar koi net use karta hai to uska facebook par 100% Account hoga. Kuch surveys ke hisab se average ek admi 23 minute Facebook chalata hai ek din me.
Simple Sabdo me kahu to kuch logo ko Facebook ka kida rhata hai. Choti se choti chij ko facebook par share karte hai jese – kab khana kaya, kab soye, kab ute, kaha gaye, kya piya, dinbhar me 20-30 post daalte hai. or like ke liye to kya batao kya pagal pan hai, Comment to bas ek aa jaye comment acha hai to usko like bhi kar sakte hai par nahi reply karege thx, taki or comment bade. kheer… apne topic par aate hai.
Ham Is Post me Dekhege kaise ham apne Facebook Account ko Deactivate kar akte hai or kaise hamesa ke liye Facebook Account ko Delete karte hai.
Facebook Account ko Deactivate kaise karte hai
Sabse phele ye samaj lete hai deactivate karne se hota kya hai –
Facebook Accunt ko jab koi deactivate karta hai to uska account koi search nahi kar pata or uske jitne bhi photo ya video jo usne upload kiye hai bo kisi ko nahi dikhte par agar wo kisi ka friend hai to uski friend list me uska naam dikhta hai. Account ko deactivate karne ke kai karan ho sakte hai jese aapke exam chal rahe hai or aap facebook se thoda dur rhana chate hai.
Deactivate karne ke liye apne Account me login kare.
Setting >> Security >> Deactivate yout account.
ya fir Direct us button par click kare
DEACTIVATE FACEBOOK ACCOUNT
Ab jo Page khulega usme aapne Account deactivate karne ka karan puchega. aap koi select karle.
kitne dinbaad aapka account automatic activate ho jaye ye bhi aap select kar sakte ho. or Last meDeactivate ki button par click karde.
Agar Aapne Facebook Page banaye hai to uske liye bhi pucha jata hai ki aap or kisi ko un page ka Admin bana de ya fir hamesa ke liye delete karde.
Facebook Account ko Hamesa ke liye Delete kaise kare
Facebook Account ko Delete krne ki aapki koi persnol baja bhi ho sakti hai ya fir ho sakta hai aapne do facebook account bana liye ho, jo bhi ho chaliye dekhte hai kaise facebook account ko hamesa ke liye delete karte hai.
ApneFacebook Account me Login karege sabse phele. uske baad is button par click kare
Ab ye Page khulega, Delete My Account ki button par click kare
Click karne ke baad Aapke Account ka Password fir se daalna hai. jo code hai bo box me dale or last me Ok par click kare.
Ab aapke saamne ek Message aayega –
Message me likha hai ki aapka Account Deactivate ho gaya hai or 14 Din tak aap apne account ko login karke Deleteing ko Cancel kar sakte ho.
Facebook Account ko Delete karne ke 14 Din baad koi Tarika Nahi hai Account ko Bapas Recover Karne Ka.
Account ko Delete hone se rokne ke liye apne facebook account me login kare to aapke saamne ek aesa page aayega.
Aap agar chahe to 14 din se phele login karke Cancel Deletion ki button par click karke apne account ko bapas se activate kar sakte ho.
Note: Please koi ye sabal naa puche ki facebook ko Hack kaise karte hai, Is Topic par me aapki madad nahi kar sakta. Haa agar aap ye jaanna chate ho ki account ki security kaise badate hai to usme jarur madad kar sakta hu 
Agar aap Facebook Account Delete nahi kar rahe hai, ya fir Aapka koi Dusra Account hai To Please
Jarur Like Kar